Tuesday, November 16, 2010

loha

mulakat kuch yun hui ek chitra se
jiska koi kalakaar na tha
tha to bas ek sawaal
jiska koi jawaab na tha !!
us sawaal ki thi kai kadiyaan
aur bhi kadiyaan judti chali gai
magar us ka poornaviraam na tha !!

khush tha me apne shehar me
jab usne poocha tha mujhse ye
bhram toota tha mera
aur bikhree thi saari sharm!!!
bataai jab usne apni baate...kuch ese apne kisse
jab aaya tha vo mere shehar
kai sapne sajae apne gaon se
aur aate hi barsa tha uspe qahar !!

sooni sadak aur sannate ko dekh ke vo chauka
sainiko ko tainaat usne har jagah dekha
kuch neta ke kadam chatne vale kutto ko dekha usne...
cheekh cheekh ke naare lagate dekha usne
"kya shaanti hai - kya shaanti hai"
vo bola - shaanti kahan ye to curfew hai
maar maar k chup karaya gaya use
aur bataya gaya
"stheethi naazook-magar niyantran me hai" !!

dekha usne machino ko naare lagate hue
"khushalee ka mausam hai aur kya din hai"
sun k phir se chauk ke bola vo
k din kahan ye to raat hai
phir jhad kar bataya gaya use
"ye raat nahi-aaj din me chaand hai" !!!

sadak par pade nange bachche ko dekha usne
uske lohe k katore me-kuch bikhra loha dekha usne
lohe ke post k neeche lohe k patre par kuch likha hua dekha usne
"desh me sukh shanti aur aman laenge"
aur us hi lohe k patre ki aad me
lohe k auzaaro ka jattha dekha usne !!!

khali khidki dekhi usne jiska glass toota tha
bas ek lohe ki kadi, magar koi nivaas na tha
lohe ki gaadiyo me insaano ko dekha usne
man jala uska kyo k stheethi uski kamzor thi
gaon me sirf-lohe ki cycle thi !!
lohe ki saliyon par makaan bante dekha usne
gaon me uske sar par cement ki chatt bhi na thi!!

unche chattaano ko lohe k kapde me quaid dekha usne
dekha usne lohe ne roka paththro ka fisalna
aur insaan ko lohe me baitha dekh
unhi raasto par, chain se jate dekha usne!!
kudrat ko lohe ki jakad me dekh, chauka tha vo sheher me
aur ishwar ko bhi, lohe ke darwaajo me band dekha usne!!

yehi sab dekh....use yaad aai vo baat
kaksha 7 ki vo kahani :
lohe ki hathkadi aur quaidi no. 8'
yaad aai use vo baat jo kahi thi kisi thanedaar ne
k lohe ki salaakho me quaid hai mujrim
aur salaakho k is taraf...jakda hua hai insaan !!

pata chal gai use ye baat
k yahan har kisi ka hai yehi haal
insaano k khwaisho ki koi keemat nahi hai yahan
bas lohe ki kursi par baithe
loha hi pooch raha hai sawaal!!!
sawaal khud se nahi, sirf doosron se
loha hi lohe ko kat-ta hai
bas ye hi hai is waqt ka niyam
aur har loha bas karta hai yehi ek kaam!!!

ese kai khayal uthe the uske man me
jis se vo udaas tha
magar jaate samay vo man se shaant aur ullas tha
maine us se uski khushi ka raaz poocha
kya hai vo mere sheher ki khoobiyan ?? maine poocha
has k bola vo insaan main khush hun kyo ki
pata chal gai mujhe
mujhe mere gaon ki khubiyan!!!

vo jaan gaya tha ye baat
ke yahan lohe ki gaadiyon me bhi
loha hi sawaar hota hai
socha vo k yahan to loha sirf lohe ka aadhaar leta hai
gaon me to usne khud loha pighalta dekha hai!!
lohe k pighalte koi bhaap nahi aati
magar jab maasoom dil me maayusi k khayalo k morche ka bol bala hota hai..
us bhaap se har loha pighalta hai !!!

.....to be continued